SHAYARI

WAQT NAHI

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Ankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,

Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......

Dard

Dil ke dard ko dil todne waala kya jaane,
Pyaar ke rivajo ko ye jmaana kya jaane,
Hoti hai kitni takleef kabar mein,
Upper se phool chadane waala kya jaane !

Tasveer

Meri aankhon mein joh tasveer basi hai,
Us tasveer mein hi meri taqdeer basi hai,
Kis tarah judaa kar dun usko apni aankhon se,
Mohabbat ki duniya mujhe ussi mein hi to mila hai.......

Judai

Judai apki rulati rahegi,
Yaad apki aati rahegi,
Pal pal jaan jati rahegi,
Jab tak jism mein hai jaan
Har saans ye rishta nibhati rahegi

Raaz

Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh!

Majburi

Na chaho kisiko itna
Kichahat aapki majburi ban jaye
Chaho kisiko itna
Ki aapka pyaar uske liye majburi ban jaye!

Selaab

Mahobbat Karnay Keh Bhi Khuch Adab Hotay Hain....
Jaagti Aankhoon Main Bhi Khawaab Hotay Hain ......
Har Koi Roo Kar Dekhai Yeh Zarrori Tu Nahi ....
Khusk Aankhoon Main Bhi Selaab Hotay Hain!

Afsaana

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai meri mahobbat, ye kabhi mumkin hi,Nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye.............

Fanaah

Ishq karne wale log khud ko fanaah lete hain,
Ishq karne wale kabhi doosro ko fanaah nahi karte..........................

Intezaar

Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain,
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain,
Wo ayen ya na ayen humare khwabon mein,
Hum to bus unhi ka intezaar main aahe liya karte hain..................

Gunhegar nahi..... !

Main deewaana hun tere nam ka
Is baat se inkar nahi,
Kaise kahe ki hame aapse pyar nahi,
Kuch to kasoor hai aapki nazro ka,
Hum akele to gunhegar nahi..... !

Saansein le nahi sakta

Kuch kadmo ki hi doorie par woh mere saamne hai
Chupke se dekh aankhien band kar leta hoon
Kya waqt ki majboori hai use choo nahi sakta
Zindagi saamne hai mere saansein le nahi sakta

MERA MEHBOOB RUKHSAT HO RAHA HAI

Ahista Ahista ae fiza
Mera mehboob rukhsat ho raha hai
Khamosh ho gaya hai sara aalam
Dhemein se aaftaab bhi ast ho raha hai
Nigahon ko nam karne wala har aansu
Har muskurahto ko shikast kar raha hai
Hazaaron zalzalon ki ahat hai in dhadkano mein
Zindagi ki giraft se door yeh waqt ho raha hai
Dastoor kayam rakha hai MUKADDAR ne
Aaj ik aur Anjaam-e-Mohobatt ho raha haiAhista
Ahista ae fiza
MERA MEHBOOB RUKHSAT HO RAHA HAI

Software store

http://www.dpbolvw.net/click-2392482-10380535

Make Movies in Seconds

http://www.kqzyfj.com/click-2392482-10429210

Softwares

Thousands Of Softwares

http://www.anrdoezrs.net/click-2392482-7134248